SAMAJ MEIN MAHILAAYN UPEKSHIT KYUN

Kahne ko to hum ikkisvi sadi mein pahunch gye hain;aazadi mile bhi hume saada varsh beet gye.mahila sashaktikaran charam seema par hai;samaaj mahilaao ki hissedaari suvikaar krne lga hai.sabhi kuchh nirdharit praroop ke aadhar par ho rha hai.jaisa  ki kanoon bnaya jar ha hai;kanoon todne walon ko saza bhi mil rhi hai lekin ek cheez  nhi badal rhi hai;vah hai istriyon ke parti purooshwaadi darastikon.is bindu par chahe kitna bhi tark vitrk kr lijiye parantu antim satye wahi hai jo hamesha se chala aa rha hai.pata nhi kyun;istriyon ki yogiyeta ko kisi aur se sambadh krke kyun dekha jaata hai aur uski savtantarta ko suvachhandta ka naam diya jaata hai.

Istriyaan chahe suvarn ho athhwa dalit unki istithi ek jaisi hai balki suwarn mahilaayien adhik apekshit hai;puroosh varchasv un paar adhik haavi hai.desh ke sanvidhaan mein;kanoon mein aur aadarsh kathaaon mein bhale hi istri puroosh samanta dikhaai de;magar vayvahaarik jeewan mein istri purosh ke madhye asamanta ka bhav dikhaai deta hai.kisi bhi proosh ko jb nirne lena hoga;tab vah suvechha se kisi istri ko apne brabar maanne ko taiyaar nahin hoga;agar istri ka nirne manta bhi hai t to wo aise dikhawa karta hai jaise us par sahaanubhhoti  ki ja rhi hai;badle mein yeh apeksha bhi rahti hai ki istri aur adhik vinarm tathha adhik mook avam kartavyanishthh bne.tabhi use sammanit darashtikon se dekha ja skta hai;istri ke is aadarsh roop ko devi kaha gya hai.

Waise to hum istri shiksha ko samaaj ke vikas mein mahatvpoorn yoogdaan ke roop mein maante hain lekin jab istri padh likhkar aarthik darashti se sudaradh hokar apne hit mein swam nirnye leti hai athwa apni khushi aur zarooraton ke anusaar apna jeewan jeeti hai to wah abhimaani maan li jaati hai.pata nahin log istri ko jeewan ka hissa maanne ke liye taiyaar kyun nahin hote hai.chahe kitne bhi shakshik abhiyaan chala liye jaayen;istriyon ke hit mein kanoon bna diye jaayen parantu jab tak mahila apni ladaaai  nahin ladegi tab tak use samaaj mein samman nahin milega;jiski vah haqdaar hai;is samasya ke samadhan ke liye mahilaon ko khud aage badh kar unhe apni chhui-mui,nazuk,sharmeeli,pati par qurban hone wali sati-sadhwi ki bhangima tod kar ek mehnatkash,anyay na sahne wali aur apne adhikaron ka upbhog karne wali istri ke roop me bhumika ada karenge.

Shasan vayvastha,sama vayvastha ityadi me bhi istri ki bhumika khatm kar use kewal parivaar tak hi simit kar diya gaya.

Istriyon ke sath is tarah k bhed bhav kiye jane k kaarno me sabse pahle bhartiye manas uska nazariya aur dharm aur dharm shashtra hi zimmedar hai kyunki istri ke sath barti jane wali har bhed bhav bhari samaik dharna kahin na kahin dharmon vedon aur purano se hi milti hai.phir bhi istri is dhaarna ko apne mann me is tarah swikar kar leti hai ki iske viprit kaam karma use khud hi apraadh bodh dilate rahta hai.

Isliye zaruri hai ki istri khud is traasdi se mukt hone ke liye yeh soche ki uske vikas me sahayak kadi kaun si hai jo use nirantar vikas ki or agrsar kar payegi.

 

About sheebakhan

I'm a student at Jamia.
यह प्रविष्टि Uncategorized में पोस्ट की गई थी। बुकमार्क करें पर्मालिंक

टिप्पणी करे